BEST OF Dr. KUMAR VISHWAS. (Top 20 Collection)

loading...
 
Baat uunchi thi magar baat jara kaam aanki
Usne jajbaat ki aukaat jara kam aanki
Wo farista keh kar mujhe jaleel karta raha
Mai insaan hoon, meri jaat jara kam aanki
~0~
Ek do din me wo ikraar kaha aayega
Har subah ek hi akhbaar kaha aayega
Aaj bandha hai jo inn baaton me to bahal jayenge
Roj inn baahon ka tyohaar kaha aayega
~0~
Jism ka aakhiri mehmaan bana baitha hoon
Ek ummid ka unvaan bana baitha hoon
Wo kahan hai ye hawaon ko bhi maloom hai magar
Ek bas mai hoon jo anjaan bana baitha hoon
~0~
Kitni duniya hai mujhe zindagi dene wali
Aur ek khwab hai tera ki jo mar jata hai
Khud ko tarteeb se jodun to kaha se jodun
Meri mitti me jo tu hai ki bikhar jata hai
~0~
Use yakeen tha khud pe ki bhool jayega,
Humein bhi dil pe bharosa tha, yaad rakhe hain

~0~
Na pane ki khushi hai kuch, na khone ka hi kuch gam hai, 
ye daulat aur shohrat sirf kuch jakhmo ka marham hai, 
ajab si kasmkash hai roj jeene me, roj marne me, 
mukkamal zindagi to hai magar poori se kuch kam hai.
~0~ 
Girebaan chaak karna kya hai seena aur muskil hai, 
Harek pal mushkurakar ask peena aur mushkil hai, 
Humari badnishibi ne humein bas itna sikhaya hai, 
kisi ke ishq me marne se jeena aur mushkil hai.
~0~
Mera apna tajurba hai tumhe batla raha hu main
koi lab chu gaya tha tab ke ab tak gaa raha hu main
bichud ke tum se ab keise jiya jaaye bina tadpe
jo me khud he nahi samjha wohi samjha raha hu main..
~0~
Mere jeene me marne me tumhara naam aaye
game saanse rok lu fir bhi yahi ilzaam aayega
har ek dhadkan me jab tum ho to fir apraadh kya mera
agar radha pukaregi to fir ghanshyam aayega...
~0~
koi patthar ki murat hai kisi patthar me murat hai
lo hamne dekh li duniya bahut hi khoobsurat hai
zamana apni samjhe par mujhe apni khabar ye hai
tujhe meri zaroorat hai, mujhe teri zaroorat hai.
~0~
koi manzil nahi jachati safar accha nai lagta
agar ghar laut bhi aau to ghar accha nahi lagta
karu kuch bhi me ab duniya ko sab accha hi lagta hai
mujhe kuch bhi tumhare bin magar accha nahi lagta
~0~
koi kab tak mahaj soche, koi kab tak mahaj gaaye
ilahi kya ye mumkin hai k kuch aisa bhi ho jaye.
mera mehtaab uski raat ke aagosh me pighale.
me uski neend me jaagu wo mujhme ghul ke so jaye.
~0~
Tumhi pe marta hai ye dil adawat kyo nahi karta
kai janmo se bandi hai bagawat kyo nahi karta..
kabhi tumse thi jo wo hi shikayat he jamane se
meri taarif karta hai mohabbat kyo nahi karta..
~0~
hame behosh kar saaki, pila b kuch nahi hamko.
karam bhi kuch nahi hamko, sila bhi kuch nahi hamko.
mohabbat ne dia he sab, mohabbat ne liya he sab
mila kuch b nahi hamko, gila bhi kuch nahi hamko.
~0~
ye dil barbad karke, isme kyo aabad rehte ho
koi kal keh raha tha tum Allahabad rahte ho.
ye keise sohrate mujhe ataa kar di mere maula
me sab kuch bhool jata hu magar tum yaad rehte ho.
~0~
pukare aankh me chadkar to khoo ko khoo samajhta hai 
andhera kisko kehta he ye bas jugnu samajhta hai 
hame to chaand taaro me tera hi roop dikhta hai 
mohabbat me numaish ko adaaye tu samajhta hai 
~0~
khud se bhi mil na sako itne paas mat hona
ishq to karna magar devdas mat hona
dekhna, chahna, mangna ya kho dena...
ye saare khel hai inme udaas mat hona.
~0~
Hamare sher sun kar ke jo khamosh itna hai
khuda jaane gurur-e-husn me madhosh kitna hai 
kisi pyaale se pucha hai surahi ne sabab may ka
jo khud behosh ho keise bataye hosh kitna hai..
~0~
jab aata he jeewan me khayalato ka hangama
haasi baato ya jazbato mulakato ka hangama
jawani ke kayamat daur me ye sochte hai sab
ye hangame ki raate hai ya he raato ka hangama
~0~
mile har jakhm ko muskan ko sina nahi aaya
amarta chahte the par Zehar pina nahi aaya
tumhari aur meri dasta me fark itna hai 
mujhe marna nahi aaya tumhe jeena nahi aaya
~0~
wo jiska teer chupke se jigar ke paar hota hai
wo koi gair kya apna hi ristedaar hota hai
kisi se apne dil ki baat tu kehna na bhule se
yaha khat bhi zara si der me akhbar hota hai.
~0~
Koi khamosh hai itna bahane bhul aaya hu
kisi ki ek tarannum me tarane bhul aaya hu
meri ab raah mat takana kabhi ai aasma walo
me ek chidia ki aankho me udaane bhul aaya hu.
~0~
Is udan pr ab sarminda me bhi hu or tu bhi hai, 
aasmaan se gira parinda me bhi hu or tu bhi hai,
chhoot gyi raste me jeene mrne ki saari kasme,
apne apne haal me jinda me bhi hu or tu bhi hai,
~0~
Khushhali me ik badhali, mein bhi hun aur tu bhi hai.
har nigah par ik sawaali, mein bhi hun aur tu bhi hai.
duniya kitna arth lagaye, ham dono ko malum hai.
bhare-bhare par khali-khali, mein bhi hun aur tu bhi hai.
~0~
Sab apne dil ke raja hai, sabki koi rani hai,
bhale prakashit ho na ho par sabki koi kahani hai.
bahut saral hai kisne kitna dard saha,
jiski jitni aankh hanse hai, utni peer purani hai.
~0~

mil gaya tha jo muqaddar wo kho ke nikla hun.
mein ek lamha hu har baar ro ke nikla hun.
raah-e-duniya me mujhe koi bhi dushwari nahi.
mein teri zulf ke pencho se ho ke nikla hun.
~0~ 
mehfil-mehfil muskana to padta hai,
khud hi khud ko samjhana to padta hai
unki aankho se hokar dil jana.
raste me ye maikhana to padta hai..
~0~ 
Nazar me sokhiya lab par mohabbat ka fasana hai
meri ummeed ki zad me abhi sara zamana hai
kai jeete hai dil ke desh par maloom hai mujhko
sikandar hun mujhe ek roz khaali haath jaana hai.
~0~ 
sab apne dil ke raja hai, sabki koi rani hai,
bhale prakashit ho na ho par sabki koi kahani hai.
bahut saral hai kisne kitna dard saha,
jiski jitni aankh hanse hai, utni peer purani hai.
~0~
Mai tera khwab jee loon par lachari hai,
Mera guroor meri khwahison pe bhari hai…!
Subaj ke surkh ujalon se teri maang saze,
Mere saamne to ye shyah raat saari hai….!!
~0~
Ek do roj me har aankhein ubb jaati hai,
Mujhko manjil nahi rasta samajhne lagte hai…!
Jinko haasil nahi wo jaan dete rahte hai,
Jinko mil jaun wo sasta samajhne lagte hai…!!
~0~
Aankhein ki chhat pe tahalte rahe kaale saaye,
Koi pahlo me ujale bharne nahi aaya…!
Kitni diwali gayi, kitne dashahare beete,
Inn munderon par koi deep na dharne aaya…!!
~0~
Gaon gaon gaata phirta hoon, khud me magar bin gaaya hoon,
Tumne baandh liya hota to khud me simat gaya hota main,
Tumne chhod diya hai to kitni door nikal aaya hoon main…!!
Kat na paayi kisi se chaal meri, Log dene lage mishaal meri…!
Mere jumloon se kaam lete hain wo, Band hai jinse bolchaal meri…!!


- Dr. Kumar Vishwas

Maikade band kare laakh zamane wale
sher me kam nahi aankho se pilane wale.
~0~
meri aankho me mohabbat ki chamak aaj bhi hai
halaki usko mere pyar pe shaq aaj bhi hai
naav me baith ke dhoye the usne haath kabhi 
poore talab me mehandi ki mehak aaj bhi hai.
~0~
saja ye hai ki neende cheen li dono ki aankho se
khata ye hai ki ham dono ne milkar khwaab dekha tha.

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Best of Anjum Rahbar | Top 20 Collection of अंजुम रहबर

Koi Deewana Kehta Hai - Dr. Kumar Vishwas (Full Poem with new 2016 add-ons Lines)